Sms jake unko “HELLO” kehna,
Smile kare to “SO SWEET” kehna,
Delete kare to “BEWEFA” kehna,
Aur padne ke baad agar mujhe miss kare
“SAME To U” kehna.
Gum ke sagar mein is kadar kho gai hai zindagi,
Tum aajao wapas yeh guzarish hai meri,
Shayad mujhe tumhari aadat si ho gai hai.
Is sham ki tanhai se,
Dard ki gehrai se,
Ye dil kuchh baat kar raha hai,
Zara samjho in fizaon ki chubhan ko,
Aaj phir tumhe koi yaad kar raha hai
Aap ne suna hai,
Ya nahi suna,
Waqai nahi suna,
CNN pe, BBC pe,
Ptv pe, Geo pe,
Fm99 pe bhe nahi,
To mujh se sun lo
“I miss U”
Nikal te hai aanso, jab mulakat nahi hoti,
Tut jata hai dil, jab baat nahi hoti,
Aapki jaan ki kasam aap yaad na aaye,
Aisi koi subah, sham nahi hoti.
Har pathar pe likhu I MISS U,
aur wo har pathar aapko maru,
taki aapko ye ehsaas to ho
ke aapki yaad kitna dard deti hai
Suraj pass ho na ho, Roshni aaspas rehti hai,
Chand paas ho na ho, Chandini aaspas rehti hai,
Waise hi aap pas ho na ho,
aapki Yaadein hamesha paas rehti hai!
Itna jaldi daaman chhod diya,
Itna jaldi vaada tod diya,
Abhi to zindagi ke sansein hai baaki,
Aur aapne abhi se yaad karna chhod diya
Aarzoo hai tumhe door se dekhne ki
Kareeb aana bhi nahi chahte.
Tamanna nahi hai tumhe paane ki
Magar khona bhi nahi chaahthe!
Jab bhi kanjusi ka oscar ka nomination aayega,
Tera naam bhi usme zarur aayega,
Agar ye padkar bhi tune reply nahi kiya,
To pehla prize bhi tujhe mil jaayega
Aapko miss karna roz ki bat ho gai,
Yaad karna aadat ki bat ho gai,
Apase dur rahena kismat ki bat ho gai,
Magar aapko bhulna apane bas ke bahar ki baat ho gai.
Kitni jaldi mulaqat guzar jaati hai,
Pyaas bujhti nahin barsat guzar jaati hai.
Apni yaadon se keh do is tarah naa aaya kare,
Neend aati nahi aur raat guzar jaati hai.