Dil tod diya ab chitha bhi jala dena,
Kafan na ho to dupatta odha dena,
Koi puche rog kya tha toh nazar jukhakar,
“Mohabbat” bata dena…
Labo pe aaj unka naam aagaya,
Pyase k haath jaise jaam aagaya,
Kadam to gira unki baahon mein jaakar,
Aaj hamara peena hi hamare kaam aagaya.
Jo aksar kaha karte the hume apni jaan,
Aaj unke dar par sar jhukaye baithe hai !
Kuch to saza de wo hame hamari wafaaon ka,
Jo aaj kisi aur se dil lagaye baithe hai !!
Zubaan hai sirf ek zariya nahi,
Jo aap shabdon ko samajh payeinge ,
Kabhi aankhon mein jhaank kar dekhieya,
Hazaroon alfaaz khud ba khud bekhar jayeinge.
Kaash banane wale ne humko aansu banaya hota,
Aur mehboob ki aankho mein basaya hota,
Jab girte unki aankho se unki hi godh mein,
To marne ka maza kuch alag hi aaya hota.
Honto ki juban yeh aansu kehte hai,
Jo chup rehte hai phir bhi behte hai,
Aur in aansu ki kismat to dekhiye,
Yeh unke liye behte hai jo in aankho mein rehte hai.
Jo aansu na hote ankhon mein,
To ankhen itni khobsurat na hoti,
Jo dard na hota dil mein,
To khushi ki kimat pata na hoti,
Jo bewfayee na ki hoti waqt ne,
To judai main jine ki aadat na hoti.
Roshni se hame apne dil ko jalana pada,
Dard sahkar bhi hame muskurana pada,
Aap log sada haste rahe,
Is liye hame aasuwo ko chipana pada.
Aapke khayalon se fursat nahi milti,
Hame ek pal ki raahat nahin milti,
Mil to jata hai sab kuch hame magar,
Aapki ek jhalak nahin milti.
Aapki muskan hamari kamjori hai,
Keh na pana hamari majburi hai,
Aap kyon nahin samajhte is khamoshi ko,
Kya khamoshi ko zuban dena jaruri hai?
Aapko bhool jau umar guzarne ki baat hai,
Aap ko naa ho yakin yeh aur baat hai,
Jab tak rahegi saas tab tak rahonge yaad,
Yeh saas tut jaaye to aur baat hai…
Jab ashq tham jaate hai to has lete hain,
Shayaad ek arsee baad hasa hu main,
Jab bhi aaina dekha…khud ko aasuo main dekha,
Aapna chehera tak bhool chuka hu main!!!